Aage Hamare Ahd Se Wahshat Ko Ja Na Thi

aage hamare ahd se wahshat ko ja na thi

diwangi kaso ki bhi zanjir-e-pa na thi

begana sa lage hai chaman ab KHizan mein hae

aisi gai bahaar magar aashna na thi

kab tha ye shor-e-nauha tera ishq jab na tha

dil tha hamara aage tu matam-sara na thi

wo aur koi hogi sahar jab hui qubul

sharminda-e-asar to hamari dua na thi

aage bhi tere ishq se khinche the dard-o-ranj

lekin hamari jaan par aisi bala na thi

dekhe dayar-e-husn ke mein karwan bahut

lekin kaso ke pas mata-e-wafa na thi

aai pari si parda-e-mina se jam tak

aankhon mein teri duKHtar-e-raz kya haya na thi

is waqt se kya hai mujhe to charagh-e-waqf

maKHluq jab jahan mein nasim-o-saba na thi

pazhmurda is qadar hain ki hai shubh hum ko 'mir'

tan mein hamare jaan kabhu thi bhi ya na thi

(426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aage Hamare Ahd Se Wahshat Ko Ja Na Thi In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Aage Hamare Ahd Se Wahshat Ko Ja Na Thi is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Aage Hamare Ahd Se Wahshat Ko Ja Na Thi for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Aage Hamare Ahd Se Wahshat Ko Ja Na Thi in PDF.