Aage Jamal-e-yar Ke Mazur Ho Gaya

aage jamal-e-yar ke mazur ho gaya

gul ek chaman mein dida-e-be-nur ho gaya

ek chashm-e-muntazar hai ki dekhe hai kab se rah

jon zaKHm teri duri mein nasur ho gaya

qismat to dekh shaiKH ko jab lahar aai tab

darwaza shira KHane ka mamur ho gaya

pahuncha qarib marg ke wo said-e-na-qubul

jo teri said-e-gah se Tak dur ho gaya

dekha ye naw-nosh ki nish-e-firaq se

sina tamam KHana-e-zambur ho gaya

is mah-e-chaardah ka chhape ishq kyunke aah

ab to tamam shahr mein mashhur ho gaya

shayad kaso ke dil ko lagi us gali mein choT

meri baghal mein shisha-e-dil chur ho gaya

lasha mera tasalli na zer-e-zamin hua

jab tak na aan kar wo sar-e-gor ho gaya

dekha jo main ne yar to wo 'mir' hi nahin

tere gham-e-firaq mein ranjur ho gaya

(453) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aage Jamal-e-yar Ke Mazur Ho Gaya In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Aage Jamal-e-yar Ke Mazur Ho Gaya is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Aage Jamal-e-yar Ke Mazur Ho Gaya for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Aage Jamal-e-yar Ke Mazur Ho Gaya in PDF.