Aah-e-sahar Ne Sozish-e-dil Ko MiTa Diya

aah-e-sahar ne sozish-e-dil ko miTa diya

us baw ne hamein to diya sa bujha diya

samjhi na baad subh ki aa kar uTha diya

is fitna-e-zamana ko nahaq jaga diya

poshida raaz-e-ishq chala jae tha sau aaj

be-taqati ne dil ki wo parda uTha diya

us mauj-KHez dahr mein hum ko qaza ne aah

pani ke bulbule ki tarah se miTa diya

thi lag us ki tegh ko hum se sau ishq ne

donon ko marke mein gale se mila diya

sab shor-e-ma-o-man ko liye sar mein mar gae

yaron ko is fasane ne aaKHir sula diya

aawargan-e-ishq ka puchha jo mein nishan

musht-e-ghubar le ke saba ne uDa diya

ajza badan ke jitne the pani ho bah gae

aaKHir gudaz ishq ne hum ko baha diya

kya kuchh na tha azal mein na tala jo the durust

hum ko dil-shikasta qaza ne dila diya

goya muhasba mujhe dena tha ishq ka

us taur dil si chiz ko main ne laga diya

muddat rahegi yaad tere chehre ki jhalak

jalwe ko jis ne mah ke ji se bhula diya

hum ne to sadgi se kya ji ka bhi ziyan

dil jo diya tha so to diya sar juda diya

boi kabab soKHta aai dimagh mein

shayad jigar bhi aatish-e-gham ne jila diya

taklif dard-e-dil ki abas ham-nashin ne ki

dard-e-suKHan ne mere sabhon ko rula diya

un ne to tegh khinchi thi par ji chala ke 'mir'

hum ne bhi ek dam mein tamasha dikha diya

(420) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aah-e-sahar Ne Sozish-e-dil Ko MiTa Diya In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Aah-e-sahar Ne Sozish-e-dil Ko MiTa Diya is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Aah-e-sahar Ne Sozish-e-dil Ko MiTa Diya for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Aah-e-sahar Ne Sozish-e-dil Ko MiTa Diya in PDF.