Aaj-kal Be-qarar Hain Hum Bhi
aaj-kal be-qarar hain hum bhi
baiTh ja chalne haar hain hum bhi
aan mein kuchh hain aan mein kuchh hain
tohfa-e-rozgar hain hum bhi
mana girya na kar to ai naseh
is mein be-iKHtiyar hain hum bhi
darpai jaan hai qarawal marg
kaso ke to shikar hain hum bhi
nale kariyo samajh ke ai bulbul
bagh mein yak kanar hain hum bhi
muddai ko sharab hum ko zahar
aaqibat dost-dar hain hum bhi
muztarib girya nak hai ye gul
barq abr-e-bahaar hain hum bhi
gar za-KHud rafta hain tere nazdik
apne to yaadgar hain hum bhi
'mir' nam ek jawan suna hoga
usi aashiq ke yar hain hum bhi
(437) Peoples Rate This