Aalam Mein Koi Dil Ka Talabgar Na Paya

aalam mein koi dil ka talabgar na paya

is jins ka yan hum ne KHaridar na paya

haq DhunDne ka aap ko aata nahin warna

aalam hai sabhi yar kahan yar na paya

ghairon hi ke hathon mein rahe dast-e-nigarin

kab hum ne tere hath se aazar na paya

jati hai nazar KHas pe gah chashm-paridan

yan hum ne par kah bhi be-kar na paya

taswir ke manind lage dar hi se guzri

majlis mein teri hum ne kabhu bar na paya

suraKH hai sine mein har ek shaKHs ke tujh se

kis dal ke tarah tir-e-nigah par na paya

marbut hain tujh se bhi yahi na-kas-o-na-ahl

us bagh mein hum ne gul be-KHar na paya

dam baad junun mujh mein na mahsus tha yani

jame mein mere yaron ne ek tar na paya

aaina bhi hairat se mohabbat ki hue hum

par sair ho is shaKHs ka didar na paya

wo khinch ke shamshir sitam rah gaya jo 'mir'

KHun-rezi ka yan koi saza-war na paya

(542) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aalam Mein Koi Dil Ka Talabgar Na Paya In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Aalam Mein Koi Dil Ka Talabgar Na Paya is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Aalam Mein Koi Dil Ka Talabgar Na Paya for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Aalam Mein Koi Dil Ka Talabgar Na Paya in PDF.