Aam Hukm-e-sharab Karta Hun

aam hukm-e-sharab karta hun

mohtasib ko kabab karta hun

Tuk to rah ai bina-e-hasti tu

tujh ko kaisa KHarab karta hun

bahas karta hun ho ke abjad-KHwan

kis qadar be-hisab karta hun

koi bujhti hai ye bhaDak mein abas

tishnagi par itab karta hun

sar talak aab-e-tegh mein hun gharq

ab tain aab aab karta hun

ji mein phirta hai 'mir' wo mere

jagta hun ki KHwab karta hun

(438) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aam Hukm-e-sharab Karta Hun In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Aam Hukm-e-sharab Karta Hun is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Aam Hukm-e-sharab Karta Hun for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Aam Hukm-e-sharab Karta Hun in PDF.