Aao Kabhu To Pas Hamare Bhi Naz Se

aao kabhu to pas hamare bhi naz se

karna suluk KHub hai ahl-e-niyaz se

phirte ho kya daraKHton ke sae mein dur dur

kar lo muwafaqat kisu be-barg-o-saz se

hijran mein us ke zindagi karna bhala na tha

kotahi jo na howe ye umr-e-daraaz se

manind-e-subha uqde na dil ke kabhu khule

ji apna kyun ki uchTe na roze namaz se

karta hai chhed chhed hamara jigar tamam

wo dekhna tera mizha-e-nim-baz se

dil par ho iKHtiyar to hargiz na kariye ishq

parhez kariye is maraz-e-jaan-gudaz se

aage bichha ke nata ko late the tegh o tasht

karte the yani KHun to ek imtiyaz se

mane hon kyun ki girya-e-KHunin ke ishq mein

hai rabt-e-KHas chashm ko ifsha-e-raaz se

shayad sharab-KHane mein shab ko rahe the 'mir'

khele tha ek mughbacha mohr-e-namaz se

(481) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aao Kabhu To Pas Hamare Bhi Naz Se In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Aao Kabhu To Pas Hamare Bhi Naz Se is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Aao Kabhu To Pas Hamare Bhi Naz Se for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Aao Kabhu To Pas Hamare Bhi Naz Se in PDF.