Ai Abr-e-tar Tu Aur Kisi Samt Ko Baras

ai abr-e-tar tu aur kisi samt ko baras

is mulk mein hamari hai ye chashm-e-tar hi bas

hirman to dekh phul bikhere thi kal saba

ek barg-e-gul gira na jahan tha mera qafas

mizhgan bhi bah gain mere rone se chashm ki

sailab mauj mare to Thahre hai koi KHas

majnun ka dil hun mahmil-e-laila se hun juda

tanha phirun hun dasht mein jun nala-e-jaras

ai girya us ke dil mein asar KHub hi kiya

rota hun jab main samne us ke tude hai hans

us ki zaban ke ohde se kyunkar nikal sakun

kahta hun ek main to sunata hai mujh ko das

hairan hun 'mir' naza mein ab kya karun bhala

ahwal-e-dil bahut hai mujhe fursat ek nafas

(450) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Abr-e-tar Tu Aur Kisi Samt Ko Baras In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Ai Abr-e-tar Tu Aur Kisi Samt Ko Baras is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Ai Abr-e-tar Tu Aur Kisi Samt Ko Baras for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Ai Abr-e-tar Tu Aur Kisi Samt Ko Baras in PDF.