Be-yar Shahr Dil Ka Viran Ho Raha Hai

be-yar shahr dil ka viran ho raha hai

dikhlai de jahan tak maidan ho raha hai

is manzil-e-jahan ke bashinde raftani hain

har ek ke han safar ka saman ho raha hai

achchha laga hai shayad aankhon mein yar apni

aaina dekh kar kuchh hairan ho raha hai

gul dekh kar chaman mein tujh ko khila hi ja hai

yani hazar ji se qurban ho raha hai

haal-e-zabun apna poshida kuchh na tha to

sunta na tha ki ye said be-jaan ho raha hai

zalim idhar ki sudh le jun sham-e-subh-gahi

ek aadh dam ka aashiq mehman ho raha hai

qurban-gah-e-mohabbat wo ja hai jis mein har su

dushwar jaan dena aasan ho raha hai

har shab gali mein us ki rote to rahte ho tum

ek roz 'mir' sahab tufan ho raha hai

(446) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-yar Shahr Dil Ka Viran Ho Raha Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Be-yar Shahr Dil Ka Viran Ho Raha Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Be-yar Shahr Dil Ka Viran Ho Raha Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Be-yar Shahr Dil Ka Viran Ho Raha Hai in PDF.