Bhala Hoga Kuchh Ek Ahwal Us Se Ya Bura Hoga
bhala hoga kuchh ek ahwal us se ya bura hoga
maal apna tere gham mein KHuda jaane ki kya hoga
tafahhus faeda naseh tadaruk tujh se kya hoga
wahi pawega mera dard-e-dil jis ka laga hoga
kaso ko shauq yarab besh us se aur kya hoga
qalam hath aa gai hogi to sau sau KHat likha hoga
dukanen husn ki aage tere taKHta hui hongi
jo tu bazar mein hoga to yusuf kab bika hoga
maishat hum faqiron ki si iKHwan-e-zaman se kar
koi gali bhi de to kah bhala bhai bhala hoga
KHayal us bewafa ka ham-nashin itna nahin achchha
guman rakhte the hum bhi ye ki hum se aashna hoga
qayamat kar ke ab tabir jis ko karti hai KHilqat
wo us kuche mein ek aashob sa shayad hua hoga
ajab kya hai halak ishq mein farhad-o-majnun ke
mohabbat rog hai koi ki kam us se jiya hoga
na ho kyun ghairat-e-gul-zar wo kucha KHuda jaane
lahu is KHak par kin kin azizon ka gira hoga
bahut ham-sae is gulshan ke zanjiri raha hun main
kabhu tum ne bhi mera shor nalon ka suna hoga
nahin juz arsh jaga rah mein lene ko dam us ke
qafas se tan ke murgh-e-ruh mera jab raha hoga
kahin hain 'mir' ko mara gaya shab us ke kuche mein
kahin wahshat mein shayad baiThe baiThe uTh gaya hoga
(472) Peoples Rate This