Dawe Ko Yar Aage Mayub Kar Chuke Hain

dawe ko yar aage mayub kar chuke hain

is reKHte ko warna hum KHub kar chuke hain

marne se tum hamare KHatir nachant rakhiyo

us kaam ka bhi hum kuchh uslub kar chuke hain

husn-e-kalam khinche kyunkar na daman-e-dil

is kaam ko hum aaKHir mahbub kar chuke hain

hangama-e-qayamat taza nahin jo hoga

hum is tarah ke kitne aashob kar chuke hain

rang-e-paridan qasid baad-e-sahar kabutar

kis kis ke hum hawale maktub kar chuke hain

tinka nahin raha hai kya ab nisar kariye

aage hi hum to ghar ko jarub kar chuke hain

har lahza hai tazayud ranj-o-gham-o-alam ka

ghaalib ki taba-e-dil ko maghlub kar chuke hain

kya jaaniye ki kya hai ai 'mir' wajh zid ki

sau bar hum to us ko mahjub kar chuke hain

(440) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dawe Ko Yar Aage Mayub Kar Chuke Hain In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Dawe Ko Yar Aage Mayub Kar Chuke Hain is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Dawe Ko Yar Aage Mayub Kar Chuke Hain for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Dawe Ko Yar Aage Mayub Kar Chuke Hain in PDF.