Dekh To Dil Ki Jaan Se UThta Hai

dekh to dil ki jaan se uThta hai

ye dhuan sa kahan se uThta hai

gor kis diljale ki hai ye falak

shola ek subh yan se uThta hai

KHana-e-dil se zinhaar na ja

koi aise makan se uThta hai

nala sar khinchta hai jab mera

shor ek aasman se uThta hai

laDti hai us ki chashm-e-shoKH jahan

ek aashob wan se uThta hai

sudh le ghar ki bhi shola-e-awaz

dud kuchh aashiyan se uThta hai

baiThne kaun de hai phir us ko

jo tere aastan se uThta hai

yun uThe aah us gali se hum

jaise koi jahan se uThta hai

ishq ek 'mir' bhaari patthar hai

kab ye tujh na-tawan se uThta hai

(477) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekh To Dil Ki Jaan Se UThta Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Dekh To Dil Ki Jaan Se UThta Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Dekh To Dil Ki Jaan Se UThta Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Dekh To Dil Ki Jaan Se UThta Hai in PDF.