Dil Ke Mamure Ki Mat Kar Fikr Fursat Chahiye

dil ke mamure ki mat kar fikr fursat chahiye

aise virane ke ab basne ko muddat chahiye

ishq-o-mai-KHwari nibhe hai koi darweshi ke beach

is tarah ke KHarj-e-la-hasil ko daulat chahiye

aaqibat farhad mar kar kaam apna kar gaya

aadmi howe kisi peshe mein jurat chahiye

ho taraf mujh pahlwan shaer ka kab aajiz suKHan

samne hone ko sahab fan ke qudrat chahiye

ishq mein wasl-o-judai se nahin kuchh guftugu

qurb-o-baad us ja barabar hai mohabbat chahiye

nazuki ko ishq mein kya daKHl hai ai bul-hawas

yan saubat khinchne ko ji mein taqat chahiye

tang mat ho ibtida-e-ashiqi mein is qadar

KHairiyat hai 'mir' sahib-e-dil salamat chahiye

(409) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke Mamure Ki Mat Kar Fikr Fursat Chahiye In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Dil Ke Mamure Ki Mat Kar Fikr Fursat Chahiye is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Dil Ke Mamure Ki Mat Kar Fikr Fursat Chahiye for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Dil Ke Mamure Ki Mat Kar Fikr Fursat Chahiye in PDF.