Dil Jo Zer-e-ghubar Aksar Tha

dil jo zer-e-ghubar aksar tha

kuchh mizaj in dinon mukaddar tha

is pe takiya kiya to tha lekin

raat-din hum the aur bistar tha

sarsari tum jahan se guzre

warna har ja jahan-e-digar tha

dil ki kuchh qadar karte rahiyo tum

ye hamara bhi naz-parwar tha

baad yak umr jo hua malum

dil us aaina-ru ka patthar tha

bare sajda ada kiya tah-e-tegh

kab se ye bojh mere sar par tha

kyun na abr-e-siyah safed hawa

jab talak ahd-e-dida-e-tar tha

ab KHaraba hua jahanabaad

warna har ek qadam pe yan ghar tha

be-zari ka na kar gila ghafil

rah tasalli ki yun muqaddar tha

itne munim jahan mein guzre

waqt rehlat ke kis kane zar tha

sahib-e-jah-o-shakat-o-iqbaal

ek azan jumla ab sikandar tha

thi ye sab kaenat zer-e-nagin

sath mor-o-malaKH sa lashkar tha

lal-o-yaqut hum zar-o-gauhar

chahiye jis qadar mayassar tha

aaKHir-e-kar jab jahan se gaya

hath KHali kafan se bahar tha

aib tul-e-kalam mat kariyo

kya karun main suKHan se KHugar tha

KHush raha jab talak raha jita

'mir' malum hai qalandar tha

(554) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Jo Zer-e-ghubar Aksar Tha In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Dil Jo Zer-e-ghubar Aksar Tha is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Dil Jo Zer-e-ghubar Aksar Tha for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Dil Jo Zer-e-ghubar Aksar Tha in PDF.