Dil Jo Tha Ek Aabla PhuTa Gaya
dil jo tha ek aabla phuTa gaya
raat ko sina bahut kuTa gaya
tair-e-rang-e-hina ki si tarah
dil na is ke hath se chhuTa gaya
main na kahta tha ki munh kar dil ki aur
ab kahan wo aaina TuTa gaya
dil ki virani ka kya mazkur hai
ye nagar sau martaba luTa gaya
'mir' kis ko ab dimagh-e-guftugu
umr guzri reKHta chhuTa gaya
(430) Peoples Rate This
Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544
Mir Taqi Mir