Duzdida Nigah Karna Phir Aankh Milana Bhi

duzdida nigah karna phir aankh milana bhi

is lauTte daman ko pas aa ke uThana bhi

pamali-e-ashiq ko manzur rakhe jaana

phir chaal kaDhab chalna Thokar na lagana bhi

burqa ko uTha dena par aadhe hi chehre se

kya munh ko chhupana bhi kuchh jhamki dikhana bhi

dekh aankhen meri nichi ek marna patthar bhi

zahir mein satana bhi parde mein jatana bhi

sohbat hai ye waisi hi ai jaan ki aasaish

sath aan ke sona bhi phir munh ko chhupana bhi

(391) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duzdida Nigah Karna Phir Aankh Milana Bhi In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Duzdida Nigah Karna Phir Aankh Milana Bhi is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Duzdida Nigah Karna Phir Aankh Milana Bhi for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Duzdida Nigah Karna Phir Aankh Milana Bhi in PDF.