Fasl-e-KHizan Mein Sair Jo Ki Humne Ja-e-gul

fasl-e-KHizan mein sair jo ki hum ne ja-e-gul

chhani chaman ki KHak na tha naqsh piye gil

allah re andalib ki aawaz-e-dil-KHarash

ji hi nikal gaya jo kaha un ne hae gul

maqdur tak sharab se rakh ankhDiyon mein rang

ye chashmak-e-pyala hai saqi hawa-e-gul

ye dekh sina dagh se rashk-e-chaman hai yan

bulbul sitam hua na jo tu ne bhi khae gul

bulbul hazar ji se KHaridar us ki hai

ai gul-farosh kariyo samajh kar baha-e-gul

nikla hai aisi KHak se kis sada-ru ki ye

qabil darud bhejne ke hai safa-e-gul

bare sarishk surKH ke daghon se raat ko

bistar par apne sote the hum bhi bichhae gul

aa andalib sulh karen jang ho chuki

le ai zaban-daraaz tu sab kuchh siwa-e-gul

gulchen samajh ke chuniyo ki gulshan mein 'mir' ke

laKHt-e-jigar paDe hain nahin bargha-e-gul

(411) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasl-e-KHizan Mein Sair Jo Ki Humne Ja-e-gul In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Fasl-e-KHizan Mein Sair Jo Ki Humne Ja-e-gul is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Fasl-e-KHizan Mein Sair Jo Ki Humne Ja-e-gul for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Fasl-e-KHizan Mein Sair Jo Ki Humne Ja-e-gul in PDF.