Gae Ji Se ChhoTe Buton Ki Jafa Se

gae ji se chhoTe buton ki jafa se

yahi baat hum chahte the KHuda se

wo apni hi KHubi pe rahta hai nazan

maro ya jiyo koi us ki bala se

koi hum se khulte hain band us qaba ke

ye uqde khulenge kaso ki dua se

pasheman tauba se hoga adam mein

ki ghafil chala shaiKH lutf-e-hawa se

na rakhi meri KHak bhi us gali mein

kudurat mujhe hai nihayat saba se

jigar-sui-e-mizhgan khincha jae hai kuchh

magar dida-e-tar hain lohu ke pyase

agar chashm hai to wahi ain haq hai

tassub tujhe hai ajab ma-siwa se

tabib subuk-e-aql hargiz na samjha

hua dard-e-ishq aah duna dawa se

Tak ai muddai chashm-e-insaf wa kar

ki baiThe hain ye qafiye kis ada se

na shikwa shikayat na harf-o-hikayat

kaho 'mir' ji aaj kyun ho KHafa se

(421) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gae Ji Se ChhoTe Buton Ki Jafa Se In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Gae Ji Se ChhoTe Buton Ki Jafa Se is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Gae Ji Se ChhoTe Buton Ki Jafa Se for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Gae Ji Se ChhoTe Buton Ki Jafa Se in PDF.