Gai Chhanw Us Tegh Ki Sar Se Jab Ki

gai chhanw us tegh ki sar se jab ki

jale dhup mein yan talak hum ki tab ki

paDi KHirman-e-gul pe bijli si aaKHir

mere KHush-nigah ki nigah ek ghazab ki

koi baat nikle hai dushwar munh se

Tak ek to bhi to sun kisi jaan-ba-lab ki

tu shamla jo rakhta hai KHar hai wagarna

zarurat hai kya shaiKH dam ek wajab ki

yakayak bhi aa sar pe wamandgan ke

bahut dekhte hain teri rah kab ki

dimagh-o-jigar dil muKHalif hue hain

hui muttafiq ab idhar rae sab ki

tujhe kyunke DhunDun ki sote hi guzri

teri rah mein apne piye talab ki

dil arsh se guzre hai zoaf mein bhi

ye zor-awari dekho zari-e-shab ki

ajab kuchh hai gar 'mir' aawe mayassar

gulabi sharab aur ghazal apne Dhab ki

(423) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gai Chhanw Us Tegh Ki Sar Se Jab Ki In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Gai Chhanw Us Tegh Ki Sar Se Jab Ki is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Gai Chhanw Us Tegh Ki Sar Se Jab Ki for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Gai Chhanw Us Tegh Ki Sar Se Jab Ki in PDF.