Garmi Se Main To Aatish-e-gham Ki Pighal Gaya

garmi se main to aatish-e-gham ki pighal gaya

raaton ko rote rote hi jon sham-e-gul gaya

hum KHasta-dil hain tujh se bhi nazuk-mizaj-tar

tewri chaDhai tu ne ki yan ji nikal gaya

garmi-e-ishq mane nashw-o-numa hui

main wo nihaal tha ki uga aur jal gaya

masti mein chhoD dair ko kabe chala tha main

laghzish baDi hui thi wa-lekin sambhal gaya

saqi nashe mein tujh se lunDha shisha-e-sharab

chal ab ki duKHt-e-tak ka joban to Dhal gaya

har zarra KHak teri gali ki hai be-qarar

yan kaun sa sitam-zada maTi mein rul gaya

uryan tani ki shoKHi se diwangi mein 'mir'

majnun ke dasht-e-KHar ka daman bhi chal gaya

(482) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garmi Se Main To Aatish-e-gham Ki Pighal Gaya In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Garmi Se Main To Aatish-e-gham Ki Pighal Gaya is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Garmi Se Main To Aatish-e-gham Ki Pighal Gaya for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Garmi Se Main To Aatish-e-gham Ki Pighal Gaya in PDF.