Ghaalib Ki Ye Dil-KHasta Shab-e-hijr Mein Mar Jae

ghaalib ki ye dil-KHasta shab-e-hijr mein mar jae

ye raat nahin wo jo kahani mein guzar jae

hai turfa mufattin-nigah us aaina-ru ki

ek pal mein kare sainkaDon KHun aur mukar jae

ne but-kada hai manzil-e-maqsud na kaba

jo koi talashi ho tera aah kidhar jae

har subh to KHurshid tere munh pe chaDhe hai

aisa na ho ye sada kahin ji se utar jae

yaqut koi un ko kahe hai koi gul-barg

Tuk honT hila tu bhi ki ek baat Thahar jae

hum taza shahidon ko na aa dekhne nazan

daman ki teri zah kahin lohu mein na bhar jae

girye ko mere dekh Tuk ek shahr ke bahar

ek sath hai pani ka jahan tak ki nazar jae

mat baiTh bahut ishq ke aazurda dilon mein

nala kasu mazlum ka tasir na kar jae

is warte se taKHta jo koi pahunche kinare

to 'mir' watan mere bhi shayad ye KHabar jae

(433) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghaalib Ki Ye Dil-KHasta Shab-e-hijr Mein Mar Jae In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Ghaalib Ki Ye Dil-KHasta Shab-e-hijr Mein Mar Jae is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Ghaalib Ki Ye Dil-KHasta Shab-e-hijr Mein Mar Jae for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Ghaalib Ki Ye Dil-KHasta Shab-e-hijr Mein Mar Jae in PDF.