Ghusse Se UTh Chale Ho To Daman Ko JhaD Kar

ghusse se uTh chale ho to daman ko jhaD kar

jate rahenge hum bhi gareban phaD kar

dil wo nagar nahin ki phir aabaad ho sake

pachhtaoge suno ho ye basti ujaD kar

yarab rah-e-talab mein koi kab talak phire

taskin de ki baiTh rahun panw gaD kar

manzur ho na pas hamara to haif hai

aae hain aaj dur se hum tujh ko taD kar

ghaalib ki dewe quwwat-e-dil is zaif ko

tinke ko jo dikhawe hai pal mein pahaD kar

niklenge kaam dil ke kuchh ab ahl-e-rish se

kuchh Dher kar chuke hain ye aage ukhaD kar

us fan ke pahalwanon se kashti rahi hai 'mir'

bahuton ko hum ne zer kiya hai pachhaD kar

(395) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghusse Se UTh Chale Ho To Daman Ko JhaD Kar In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Ghusse Se UTh Chale Ho To Daman Ko JhaD Kar is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Ghusse Se UTh Chale Ho To Daman Ko JhaD Kar for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Ghusse Se UTh Chale Ho To Daman Ko JhaD Kar in PDF.