Gila Nahin Hai Hamein Apni Jaan-gudazi Ka

gila nahin hai hamein apni jaan-gudazi ka

jigar pe zaKHm hai us ki zaban-daraazi ka

samand-e-naz ne us ke jahan kiya pamal

wahi hai ab bhi use shauq tark tazi ka

sitam hain qahr hain launDe sharab-KHane ke

utar lete hain amama har namazi ka

ulaT-palaT meri aah-e-sahar ki kya hai kam

agar KHayal tumhein howe neza-bazi ka

batao hum se koi aan tum se kya bigDi

nahin hai tum ko saliqa zamana-sazi ka

KHuda ko kaam to saunpe hain main ne sab lekin

rahe hai KHauf mujhe wan ki be-niyazi ka

chalo ho rah-e-muafiq kahe muKHalif ke

tariq chhoD diya tum ne dil-nawazi ka

kaso ki baat ne aage mere na paya rang

dilon mein naqsh hai meri suKHan-taraazi ka

basan-e-KHak ho pamal rah-e-KHalq ai 'mir'

rakhe hai dil mein agar qasd sarfaraazi ka

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gila Nahin Hai Hamein Apni Jaan-gudazi Ka In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Gila Nahin Hai Hamein Apni Jaan-gudazi Ka is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Gila Nahin Hai Hamein Apni Jaan-gudazi Ka for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Gila Nahin Hai Hamein Apni Jaan-gudazi Ka in PDF.