Gul Sharm Se Bah Jaega Gulshan Mein Ho Kar Aab Sa

gul sharm se bah jaega gulshan mein ho kar aab sa

burqe se gar nikla kahin chehra tera mahtab sa

gul-e-barg ka ye rang hai marjaan ka aisa Dhang hai

dekho na jhumke hai paDa wo honT lal-e-nab sa

wo maya-e-jaan to kahin paida nahin jon kimiya

main shauq ki ifraat se betab hun simab sa

dil tab hi laya na Tuk ta yaad rahta ham-nashin

ab aish roz-e-wasl ka hai ji mein bhula KHwab sa

sannahaTe mein jaan ke hosh-o-hawas-o-dam na tha

asbab sara le gaya aaya tha ek sailab sa

hum sar-kashi se muddaton masjid se bach bach kar chale

ab sajde hi mein guzre hai qad jo hua mehrab sa

thi ishq ki wo ibtida jo mauj si uTThi kabhu

ab dida-e-tar ko jo tum dekho to hai girdab sa

bahke jo hum mast aa gae sau bar masjid se uTha

waiz ko mare KHauf ke kal lag gaya jullab sa

rakh hath dil par 'mir' ke daryaft kar kya haal hai

rahta hai aksar ye jawan kuchh in dinon betab sa

(422) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gul Sharm Se Bah Jaega Gulshan Mein Ho Kar Aab Sa In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Gul Sharm Se Bah Jaega Gulshan Mein Ho Kar Aab Sa is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Gul Sharm Se Bah Jaega Gulshan Mein Ho Kar Aab Sa for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Gul Sharm Se Bah Jaega Gulshan Mein Ho Kar Aab Sa in PDF.