Hain Baad Mere Marg Ke Aasar Se Ab Tak

hain baad mere marg ke aasar se ab tak

sukha nahin lohu dar-o-diwar se ab tak

rangini-e-ishq is ke mile par hui malum

sohbat na hui thi kisi KHunKHar se ab tak

kab se mutahammil hai jafaon ka dil-e-zar

zinhaar-wafa ho na saki yar se ab tak

abru hi ki jumbish ne ye suthrao kiye hain

mara nahin un ne koi talwar se ab tak

wada bhi qayamat ka bhala koi hai wada

par dil nahin KHali gham-e-didar se ab tak

muddat hui ghuT ghuT ke hamein shahr mein marte

waqif na hua koi us asrar se ab tak

barson hue dil-soKHta bulbul ko mue lek

ek dud sa uThta hai chaman-zar se ab tak

kya jaaniye hote hain suKHan lutf ke kaise

puchha nahin un ne to hamein pyar se ab tak

us bagh mein aghlab hai ki sarzad na hua ho

yun nala-kaso murgh-e-giraftar se ab tak

KHat aae pe bhi din hai siyah tum se hamara

jata nahin andher ye sarkar se ab tak

nikla tha kahin wo gul-e-nazuk shab-e-mah mein

so koft nahin jati hai ruKHsar se ab tak

dekha tha kahin saya tere qad ka chaman mein

hain 'mir'-ji aawara-pari dar se ab tak

(433) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Baad Mere Marg Ke Aasar Se Ab Tak In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Hain Baad Mere Marg Ke Aasar Se Ab Tak is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Hain Baad Mere Marg Ke Aasar Se Ab Tak for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Hain Baad Mere Marg Ke Aasar Se Ab Tak in PDF.