Hamare Aage Tera Jab Kisu Ne Nam Liya

hamare aage tera jab kisu ne nam liya

dil-e-sitam-zada ko hum ne tham tham liya

qasam jo khaiye to tala-e-zuleKHa ki

aziz-e-misr ka bhi sahab ek ghulam liya

KHarab rahte the masjid ke aage mai-KHane

nigah-e-mast ne saqi ki intiqam liya

wo kaj-rawish na mila raste mein mujh se kabhi

na sidhi tarah se un ne mera salam liya

maza dikhawenge be-rahmi ka teri sayyaad

gar iztirab-e-asiri ne zer-e-dam liya

mere saliqe se meri nibhi mohabbat mein

tamam umr main nakaamiyon se kaam liya

agarche gosha-guzin hun main shairon mein 'mir'

pa mere shor ne ru-e-zamin tamam liya

(380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Aage Tera Jab Kisu Ne Nam Liya In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Hamare Aage Tera Jab Kisu Ne Nam Liya is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Hamare Aage Tera Jab Kisu Ne Nam Liya for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Hamare Aage Tera Jab Kisu Ne Nam Liya in PDF.