Hasti Apni Habab Ki Si Hai

hasti apni habab ki si hai

ye numaish sarab ki si hai

nazuki us ke lab ki kya kahiye

pankhuDi ek gulab ki si hai

chashm-e-dil khol is bhi aalam par

yan ki auqat KHwab ki si hai

bar bar us ke dar pe jata hun

haalat ab iztirab ki si hai

nuqta-e-KHal se tera abru

bait ek intiKHab ki si hai

main jo bola kaha ki ye aawaz

usi KHana-KHarab ki si hai

aatish-e-gham mein dil bhuna shayad

der se bu kabab ki si hai

dekhiye abr ki tarah ab ke

meri chashm-e-pur-ab ki si hai

'mir' un nim-baz aankhon mein

sari masti sharab ki si hai

(3009) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasti Apni Habab Ki Si Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Hasti Apni Habab Ki Si Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Hasti Apni Habab Ki Si Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Hasti Apni Habab Ki Si Hai in PDF.