Hum Bhi Phirte Hain Yak Hasham Le Kar

hum bhi phirte hain yak hasham le kar

dasta-e-dagh-o-fauj-e-gham le kar

dast-kash nala pesh-rau girya

aah chalti hai yan ilm le kar

marg ek mandgi ka waqfa hai

yani aage chalenge dam le kar

us ke upar ki dil se tha nazdik

gham-e-duri chale hain hum le kar

teri waz-e-sitam se ai be-dard

ek aalam gaya alam le kar

barha said-gah se us ki gae

dagh-e-yas aahu-e-haram le kar

zoaf yan tak khincha ki surat-gar

rah gae hath mein qalam le kar

dil pe kab iktifa kare hai ishq

jaega jaan bhi ye gham le kar

shauq agar hai yahi to ai qasid

hum bhi aate hain ab raqam le kar

'mir'-sahib hi chuke a bad-ahd

warna dena tha dil qasam le kar

(450) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Bhi Phirte Hain Yak Hasham Le Kar In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Hum Bhi Phirte Hain Yak Hasham Le Kar is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Hum Bhi Phirte Hain Yak Hasham Le Kar for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Hum Bhi Phirte Hain Yak Hasham Le Kar in PDF.