Hum Hain Majruh Majra Hai Ye

hum hain majruh majra hai ye

wo namak chhiDke hai maza hai ye

aag the ibtida-e-ishq mein hum

ab jo hain KHak intiha hai ye

bud aadam numud shabnam hai

ek do dam mein phir hua hai ye

shukr us ki jafa ka ho na saka

dil se apne hamein gila hai ye

shor se apne hashr hai parda

yun nahin jaanta ki kiya hai ye

bas hua naz ho chuka aghmaz

har ghaDi hum se kiya ada hai ye

nashen uThti hain aaj yaron ki

aan baiTho to KHushnuma hai ye

dekh be-dam mujhe laga kahne

hai to murda sa par bala hai ye

main to chup hun wo honT chaTe hai

kya kahun rijhne ki ja hai ye

hai re beganagi kabhu un ne

na kaha ye ki aashna hai ye

tegh par hath dam-ba-dam kab tak

ek laga chak ki muddaa hai ye

'mir' ko kyun na mughtanim jaane

agle logon mein ek raha hai ye

(412) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Hain Majruh Majra Hai Ye In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Hum Hain Majruh Majra Hai Ye is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Hum Hain Majruh Majra Hai Ye for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Hum Hain Majruh Majra Hai Ye in PDF.