Jahan Ab Khaar Zarin Ho Gai Hain

jahan ab KHar zarin ho gai hain

yahin aage bahaaren ho gai hain

junun mein KHushk ho rag-ha-e-gardan

gareban ki si taren ho gai hain

suna jata hai shahr-e-ishq ke gard

mazaren hi mazaren ho gai hain

isi darya-e-KHubi ka hai ye shauq

ki maujen sab kanaren ho gai hain

unhin galiyon mein jab rote the hum 'mir'

kai dariya ki dhaaren ho gai hain

(417) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Ab Khaar Zarin Ho Gai Hain In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Jahan Ab Khaar Zarin Ho Gai Hain is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Jahan Ab Khaar Zarin Ho Gai Hain for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Jahan Ab Khaar Zarin Ho Gai Hain in PDF.