Jin Jinko Tha Ye Ishq Ka Aazar Mar Gae

jin jin ko tha ye ishq ka aazar mar gae

aksar hamare sath ke bimar mar gae

hota nahin hai us lab-e-nau-KHat pe koi sabz

isa o KHizr kya sabhi yak-bar mar gae

yun kanon-kan gul ne na jaana chaman mein aah

sar ko paTak ke hum pas-e-diwar mar gae

sad karwan wafa hai koi puchhta nahin

goya mata-e-dil ke KHaridar mar gae

majnun na dasht mein hai na farhad koh mein

tha jin se lutf-e-zindagi we yar mar gae

gar zindagi yahi hai jo karte hain hum asir

to we hi ji gae jo giraftar mar gae

afsos we shahid ki jo qatl-gah mein

lagte hi us ke hath ki talwar mar gae

tujh se do-chaar hone ki hasrat ke mubtila

jab ji hue wabaal to na-chaar mar gae

ghabra na 'mir' ishq mein us sahal-e-zist par

jab bas chala na kuchh to mere yar mar gae

(581) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jin Jinko Tha Ye Ishq Ka Aazar Mar Gae In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Jin Jinko Tha Ye Ishq Ka Aazar Mar Gae is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Jin Jinko Tha Ye Ishq Ka Aazar Mar Gae for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Jin Jinko Tha Ye Ishq Ka Aazar Mar Gae in PDF.