Ji Mein Hai Yaad RuKH-o-zulf-e-siyah-fam Bahut

ji mein hai yaad ruKH-o-zulf-e-siyah-fam bahut

rona aata hai mujhe har sahar-o-sham bahut

dast-e-sayyaad talak bhi na main pahuncha jita

be-qarari ne liya mujh ko tah-e-dam bahut

ek do chashmak idhar gardish-e-saghar ki mudam

sar chaDhi rahti hai ye gardish-e-ayyam bahut

dil-KHarashi-o-jigar-chaaki-o-KHun-afshani

hun to nakaam pe rahte hain mujhe kaam bahut

rah gaya dekh ke tujh chashm pe ye satar-e-mizha

saqiya yun to paDhe the main KHat-e-jam bahut

phir na aae jo hue KHak mein ja aasuda

ghaaliban zer-e-zamin 'mir' hai aaram bahut

(379) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ji Mein Hai Yaad RuKH-o-zulf-e-siyah-fam Bahut In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Ji Mein Hai Yaad RuKH-o-zulf-e-siyah-fam Bahut is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Ji Mein Hai Yaad RuKH-o-zulf-e-siyah-fam Bahut for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Ji Mein Hai Yaad RuKH-o-zulf-e-siyah-fam Bahut in PDF.