Jo Ye Dil Hai To Kya Sar-anjam Hoga
jo ye dil hai to kya sar-anjam hoga
ta-KHak bhi KHak aaram hoga
mira-ji to aankhon mein aaya ye sunte
ki didar bhi ek din aam hoga
na hoga wo dekha jise kabk tu ne
wo ek bagh ka sarw-andam hoga
na nikla kar itna bhi be-parda ghar se
bahut us mein zalim to badnam hoga
hazaron ki yan lag gain chhat se aankhen
tu ai mah kis shab-e-lab-e-baam hoga
wo kuchh jaanta hoga zulfon mein phansna
jo koi asir ta-dam hoga
jigar chaaki nakaami duniya hai aaKHir
nahin aae jo 'mir' kuchh kaam hoga
(431) Peoples Rate This