Joshish-e-ashk Se Hun AaTh Pahr Pani Mein
joshish-e-ashk se hun aaTh pahr pani mein
garche hote hain bahut KHauf-o-KHatar pani mein
zabt-e-girya ne jalaya hai daruna sara
dil achambha hai ki hai soKHta-tar pani mein
aab-e-shamshir-e-qayamat hai burinda us ki
ye gawarai nahin pate hain har pani mein
tab-e-dariya jo ho aashufta to phir tufan hai
aah baalon ko paraganda na kar pani mein
gharq aab-e-ashk se hun lek uDa jata hun
jun samak go ki mere Dube hain par pani mein
mardum-e-dida-e-tar mardum-e-abi hain magar
rahte hain roz o shab o sham-o-sahar pani mein
haiat aankhon ki nahin wo rahi rote rote
ab to girdab se aate hain nazar pani mein
girya-e-shab se bahut aankh Dare hai meri
panw rukte hi nahin bar-e-digar pani mein
fart-e-girya se hua 'mir' tabah apna jahaz
taKHta pare gae kya jaanun kidhar pani mein
(433) Peoples Rate This