Juz Jurm-e-ishq Koi Bhi Sabit Kiya Gunah

juz jurm-e-ishq koi bhi sabit kiya gunah

nahaq hamari jaan li achchhe ho wah wah

ab kaisa chaak chaak ho dil us ke hijr mein

guththawan to laKHt-e-dil se nikalti hai meri aah

sham shab-e-visal hui yan ki is taraf

hone laga tulua hi KHurshid ru-siyah

guzra main us suluk se dekha na kar mujhe

barchhi si lag ja hai jigar mein teri nigah

daman-o-jeb chaak KHarabi-o-KHastagi

un se tere firaq mein hum ne kiya nibah

betabiyon ko saunp na dena kahin mujhe

ai sabr main ne aan ke li hai teri panah

KHun-basta bare rahne lagi ab to ye mizha

aansu ki bund jis se Tapakti thi gah gah

gul se shagufta dagh dikhata hun tere tin

gar muwafaqat kare hai tanik mujh se sal-o-mah

gar mana mujh ko karte hain teri gali se log

kyunkar na jaun mujh ko to marna hai KHwa-maKHwah

nahaq ulajh paDa hai ye mujh se tariq-e-ishq

jata tha 'mir' mein to chala apni rah rah

(410) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Juz Jurm-e-ishq Koi Bhi Sabit Kiya Gunah In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Juz Jurm-e-ishq Koi Bhi Sabit Kiya Gunah is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Juz Jurm-e-ishq Koi Bhi Sabit Kiya Gunah for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Juz Jurm-e-ishq Koi Bhi Sabit Kiya Gunah in PDF.