Kab Se Nazar Lagi Thi Darwaza-e-haram Se

kab se nazar lagi thi darwaza-e-haram se

parda uTha to laDiyan aankhen hamari hum se

surat gar ajal ka kya hath tha kahe to

khinchi wo tegh-e-abru faulad ke qalam se

sozish gai na dil ki rone se roz-o-shab ke

jalta hun aur dariya bahte hain chashm-e-nam se

taat ka waqt guzra masti mein aab raz ki

ab chashm-dasht us ke yan hai faqat karam se

kuDhiye na roiye to auqat kyunke guzre

rahta hai mashghala sa bar-e-gham-o-alam se

mashhur hai samajat meri ki tegh barsi

par main na sar uThaya hargiz tere qadam se

baat ehtiyat se kar zaea na kar nafas ko

baalidgi dil hai manind-e-shisha dam se

kya kya tab uThae kya kya azab dekhe

tab dil hua hai utna KHugar tere sitam se

hasti mein hum ne aa kar aasudgi na dekhi

khultin na kash aankhen KHwab KHush adam se

pamal kar ke hum ko pachhtaoge bahut tum

kamyab hain jahan mein sar dene wale hum se

dil do ho 'mir' sahab us bad-maash ko tum

KHatir to jama kar lo Tak qaul se qasam se

(439) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Se Nazar Lagi Thi Darwaza-e-haram Se In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Kab Se Nazar Lagi Thi Darwaza-e-haram Se is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Kab Se Nazar Lagi Thi Darwaza-e-haram Se for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Kab Se Nazar Lagi Thi Darwaza-e-haram Se in PDF.