KHarabi Kuchh Na Puchho Mulkat-e-dil Ki Imarat Ki

KHarabi kuchh na puchho mulkat-e-dil ki imarat ki

ghamon ne aaj-kal suniyo wo aabaadi hi ghaarat ki

nigah-e-mast se jab chashm ne is ki ishaarat ki

halawat mai ki aur buniyaad maiKHane ki ghaarat ki

sahar-gah main ne puchha gul se haal-e-zar bulbul ka

paDe the bagh mein yak-musht par udhar ishaarat ki

jalaya jis tajalli-e-jalwa-gar ne tur ko ham-dam

usi aatish ke par kale ne hum se bhi shararat ki

nazakat kya kahun KHurshid-ru ki kal shab-e-mah mein

gaya tha sae sae bagh tak tis par hararat ki

nazar se jis ki yusuf sa gaya phir us ko kya sujhe

haqiqat kuchh na puchho pir-e-kanan ki basarat ki

tere kuche ke shauq-e-tauf mein jaise bagula tha

bayaban main ghubar 'mir' ki hum ne ziyarat ki

(379) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHarabi Kuchh Na Puchho Mulkat-e-dil Ki Imarat Ki In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. KHarabi Kuchh Na Puchho Mulkat-e-dil Ki Imarat Ki is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem KHarabi Kuchh Na Puchho Mulkat-e-dil Ki Imarat Ki for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download KHarabi Kuchh Na Puchho Mulkat-e-dil Ki Imarat Ki in PDF.