KHush Na Aai Tumhaari Chaal Hamein

KHush na aai tumhaari chaal hamein

yun na karna tha paemal hamein

haal kya puchh puchh jate ho

kabhu pate bhi ho bahaal hamein

wo dahan wo kamar hi hai maqsud

aur kuchh ab nahin KHayal hamein

is mah-e-chaardah ki duri ne

das hi din mein kiya hilal hamein

nazar aate hain hote ji ke wabaal

halqa halqa tumhaare baal hamein

tangi is ja ki naqal kiya kariye

yan se wajib hai intiqal hamein

sirf lillah KHam ke KHam karte

na kya charKH ne kalal hamein

mugh-bache mal mast hum darwesh

kaun karta hai musht-mal hamein

kab tak us tangna mein khinchiye ranj

yan se yarab tu hi nikal hamein

tark sabzan-e-shahar kariye ab

bas bahut kar chuke nihaal hamein

wajh kiya hai ki 'mir' munh pe tere

nazar aata hai kuchh malal hamein

(397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHush Na Aai Tumhaari Chaal Hamein In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. KHush Na Aai Tumhaari Chaal Hamein is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem KHush Na Aai Tumhaari Chaal Hamein for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download KHush Na Aai Tumhaari Chaal Hamein in PDF.