KHush-qadan Jab Sawar Hote Hain

KHush-qadan jab sawar hote hain

sarw-o-qumri shikar hote hain

tere baalon ke wasf mein mere

sher sab pechdar hote hain

aao yaad-e-butan pa bhul na jao

ye taghaful-shiar hote hain

dekh lewenge ghair ko tujh pas

sohbaton mein bhi yar hote hain

sadqe ho lewen ek-dam tere

phir to tujh par nisar hote hain

tu kare hai qarar milne ka

hum abhi be-qarar hote hain

haf-iqlim har gali hai kahin

dilli se bhi dayar hote hain

rafta rafta ye tifl-e-KHush-zahir

fitna-e-rozgar hote hain

us ke nazdik kuchh nahin izzat

'mir'-ji yun hi KHwar hote hain

(384) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHush-qadan Jab Sawar Hote Hain In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. KHush-qadan Jab Sawar Hote Hain is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem KHush-qadan Jab Sawar Hote Hain for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download KHush-qadan Jab Sawar Hote Hain in PDF.