Kis Husn Se Kahun Main Uski KHush-aKHtari Ki

kis husn se kahun main us ki KHush-aKHtari ki

is mah-ru ke aage kya tab mushtari ki

rakhna na tha qadam yan jun baad be-tammul

sair is jahan ki rahraw par tu ne sarsari ki

shubha bahaal sag mein ek umr sirf ki hai

mat puchh in ne mujh se jo aadmi-gari ki

pae gul us chaman mein chhoDa gaya na hum se

sar par hamare ab ke mannat hai be-pari ki

pesha to ek hi tha us ka hamara lekin

majnun ke taleon ne shohrat mein yawari ki

girye se dagh-e-sina taza hue hain sare

ye kisht-e-KHushk tu ne ai chashm phir hari ki

ye daur to muafiq hota nahin magar ab

rakhiye bina-e-taza is charKH-e-chambari ki

KHuban tumhaari KHubi ta-chand naql kariye

hum ranja-KHatiron ki kya KHub dilbari ki

hum se jo 'mir' uD kar aflak-e-charKH mein hain

un KHak mein malun ki kahe ko hamsari ki

(385) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Husn Se Kahun Main Uski KHush-aKHtari Ki In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Kis Husn Se Kahun Main Uski KHush-aKHtari Ki is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Kis Husn Se Kahun Main Uski KHush-aKHtari Ki for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Kis Husn Se Kahun Main Uski KHush-aKHtari Ki in PDF.