Main Kaun Hun Ai Ham-nafasan SoKHta-jaan Hun

main kaun hun ai ham-nafasan soKHta-jaan hun

ek aag mere dil mein hai jo shoala-fishan hun

laya hai mera shauq mujhe parde se bahar

main warna wahi KHalwati-e-raaz-e-nihan hun

jalwa hai mujhi se lab-e-dariya-e-suKHan par

sad-rang meri mauj hai main tab-e-rawan hun

panja hai mera panja-e-KHurshid main har subh

main shana-sifat saya-e-ru zulf-e-butan hun

dekha hai mujhe jin ne so diwana hai mera

main bais-e-ashuftagi-e-tab-e-jahan hun

taklif na kar aah mujhe jumbish-e-lab ki

main sad suKHan-aghushta-ba-KHun zer-e-zaban hun

hun zard gham-e-taza-nihaalan-e-chaman se

us bagh-e-KHizan-dida mein main barg-e-KHizan hun

rakhti hai mujhe KHwahish-e-dil bas-ki pareshan

darpai na ho is waqt KHuda jaane kahan hun

ek wahm nahin besh meri hasti-e-mauhum

us par bhi teri KHatir-e-nazuk pe garan hun

KHush-bashi-o-tanziya-o-taqaddus the mujhe 'mir'

asbab paDe yun ki kai rose se yan hun

(526) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Kaun Hun Ai Ham-nafasan SoKHta-jaan Hun In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Main Kaun Hun Ai Ham-nafasan SoKHta-jaan Hun is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Main Kaun Hun Ai Ham-nafasan SoKHta-jaan Hun for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Main Kaun Hun Ai Ham-nafasan SoKHta-jaan Hun in PDF.