Mere Sang-e-mazar Par Farhad

mere sang-e-mazar par farhad

rakh ke tesha kahe hai ya ustad

hum se bin marg kya juda ho malal

jaan ke sath hai dil-e-nashad

mund aankhen safar adam ka kar

bas hai dekha na aalam-e-ijad

fikr-e-tamir mein na rah munim

zindagani ki kuchh bhi hai buniyaad

KHak bhi sar pe Dalne ko nahin

kis KHarabe mein hum hue aabaad

sunte ho Tuk suno ki phir mujh baad

na sunoge ye nala o fariyaad

lagti hai kuchh sumum si to nasim

KHak kis diljale ki barbaad

bhula jae hai gham-e-butan mein ji

gharaz aata hai phir KHuda hi yaad

tere qaid-e-qafas ka kya shikwa

nale apne se apne se fariyaad

har taraf hain asir ham-awaz

bagh hai ghar tera to ai sayyaad

hum ko marna ye hai ki kab hon kahin

apni qaid-e-hayat se aazad

aisa wo shoKH hai ki uThte subh

jaana so jae us ki hai mo'tad

nahin surat-pazir naqsh us ka

yun hi tasdiq khinche hai bahzad

KHub hai KHak se buzurgon ki

chahna to mere tain imdad

par murawwat kahan ki hai ai 'mir'

tu hi mujh diljale ko kar irshad

na-muradi ho jis pe parwana

wo jalata phire charagh-e-murad

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Sang-e-mazar Par Farhad In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Mere Sang-e-mazar Par Farhad is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Mere Sang-e-mazar Par Farhad for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Mere Sang-e-mazar Par Farhad in PDF.