Mir Dariya Hai Sune Sher Zabani Uski

'mir' dariya hai sune sher zabani us ki

allah allah re tabiat ki rawani us ki

KHatir-e-baadiya se dair mein jawegi kahin

KHak manind bagule ke uDani us ki

ek hai ahd mein apne wo paraganda-mizaj

apni aankhon mein na aaya koi sani us ki

meinh to bauchhaar ka dekha hai baraste tum ne

isi andaz se thi ashk-fishani us ki

baat ki tarz ko dekho to koi jadu tha

par mili KHak mein kya sehr-bayani us ki

kar ke tawiz rakhen us ko bahut bhati hai

wo nazar panw pe wo baat diwani us ki

us ka wo ijz tumhaara ye ghurur-e-KHubi

minnaten un ne bahut kin pa na mani us ki

kuchh likha hai tujhe har barg pe ai rashk-e-bahaar

ruqa waren hain ye auraq-e-KHizani us ki

sarguzisht apni kis andoh se shab kahta tha

so gae tum na suni aah kahani us ki

marsiye dil ke kai kah ke diye logon ko

shahr-e-dilli mein hai sab pas nishani us ki

miyan se nikli hi paDti thi tumhaari talwar

kya ewaz chah ka tha KHasmi-e-jaani us ki

aable ki si tarah Thes lagi phuT bahe

dardmandi mein gai sari jawani us ki

ab gae us ke juz afsos nahin kuchh hasil

haif sad haif ki kuchh qadr na jaani us ki

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mir Dariya Hai Sune Sher Zabani Uski In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Mir Dariya Hai Sune Sher Zabani Uski is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Mir Dariya Hai Sune Sher Zabani Uski for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Mir Dariya Hai Sune Sher Zabani Uski in PDF.