Moh Mein Sajde Mein Par Naqsh Mera Bar Raha

moh mein sajde mein par naqsh mera bar raha

us aastan pe meri KHak se ghubar raha

junun mein ab ke mujhe apne dil ka gham hai pe haif

KHabar li jab ki na jame mein ek tar raha

bashar hai wo pe khula jab se us ka dam-e-zulf

sar-e-rah us ke farishte hi ka shikar raha

kabhu na aankhon mein aaya wo shoKH KHwab ki tarah

tamam-umr hamein us ka intizar raha

sharab-e-aish mayassar hui jise ek shab

phir us ko roz-e-qayamat talak KHumar raha

butan ke ishq ne be-iKHtiyar kar Dala

wo dil ki jis ka KHudai mein iKHtiyar raha

wo dil ki sham-o-sahar jaise pakka phoDa tha

wo dil ki jis se hamesha jigar-figar raha

tamam-umr gai us pe hath rakhte hamein

wo dardnak alarraghm be-qarar raha

sitam mein gham mein sar-anjam us ka kya kahiye

hazaron hasraten thin tis pe ji ko mar raha

baha to KHun ho aankhon ki rah bah nikla

raha jo sina-e-sozan mein daghdar raha

so us ko hum se faramosh-kariyon le gae

ki us se qatra-e-KHun bhi na yaadgar raha

gali mein us ki gaya so gaya na bola phir

main 'mir' 'mir' kar us ko bahut pukar raha

(442) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Moh Mein Sajde Mein Par Naqsh Mera Bar Raha In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Moh Mein Sajde Mein Par Naqsh Mera Bar Raha is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Moh Mein Sajde Mein Par Naqsh Mera Bar Raha for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Moh Mein Sajde Mein Par Naqsh Mera Bar Raha in PDF.