Misal-e-saya Mohabbat Mein Jal Apna Hun

misal-e-saya mohabbat mein jal apna hun

tumhaare sath giraftar-e-haal apna hun

sarishk-e-surKH ko jata hun jo piye har-dam

lahu ka pyasa alal-ittisal apna hun

agarche nashsha hun sab mein KHum-e-jahan mein lek

ba-rang-e-mai araq-e-infial apna hun

meri numud ne mujh ko kiya barabar KHak

main naqsh-e-pa ki tarah paemal apna hun

hui hai zindagi dushwar mushkil aasan kar

phirun chalun to hun par main wabaal apna hun

tera hai wahm ki ye na-tawan hai jame mein

wagarna main nahin ab ek KHayal apna hun

bala hui hai meri go ka tab-e-raushan 'mir'

hun aaftab wa-lekin zawal apna hun

(428) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Misal-e-saya Mohabbat Mein Jal Apna Hun In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Misal-e-saya Mohabbat Mein Jal Apna Hun is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Misal-e-saya Mohabbat Mein Jal Apna Hun for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Misal-e-saya Mohabbat Mein Jal Apna Hun in PDF.