Paigham Gham-e-jigar Ka Gulzar Tak Na Pahuncha

paigham gham-e-jigar ka gulzar tak na pahuncha

nala mera chaman ki diwar tak na pahuncha

us aaine ke manind zangar jis ko khawe

kaam apna us ke gham mein didar tak na pahuncha

jon naqsh-e-pa hai ghurbat hairan-kar us ki

aawara ho watan se jo yar tak na pahuncha

labrez shikwa the hum lekin huzur tere

kar-e-shikayat apna guftar tak na pahuncha

le chashm-e-nam-rasidd pani chuwane koi

waqt-e-aKHir us ke bimar tak na pahuncha

ye baKHte--sabz dekho bagh-e-zamana mein se

pazhmurda gul bhi apni dastar tak na pahuncha

masturi KHub-rui donon na jama howen

KHubi ka kaam kis ki izhaar tak na pahuncha

yusuf se le ke ta-gul phir gul se le ke ta-shamma

ye husn kis ko le kar bazar tak na pahuncha

afsos 'mir' we jo hone shahid aae

phir kaam un ka us ki talwar tak na pahuncha

(418) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Paigham Gham-e-jigar Ka Gulzar Tak Na Pahuncha In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Paigham Gham-e-jigar Ka Gulzar Tak Na Pahuncha is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Paigham Gham-e-jigar Ka Gulzar Tak Na Pahuncha for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Paigham Gham-e-jigar Ka Gulzar Tak Na Pahuncha in PDF.