Pal Mein Jahan Ko Dekhte Mere Dubo Chuka

pal mein jahan ko dekhte mere Dubo chuka

ek waqt mein ye dida bhi tufan ro chuka

afsos mere murde par itna na kar ki ab

pachhtana yun hi sa hai jo hona tha ho chuka

lagti nahin palak se palak intizar mein

aankhen agar yahi hain to bhar nind so chuka

yak chashmak-e-pyala hai saqi bahaar-e-umr

jhapki lagi ki dur ye aaKHir hi ho chuka

mumkin nahin ki gul kare waisi shaguftagi

us sarzamin mein tuKHm-e-mohabbat main bo chuka

paya na dil bahaya hua sail-e-ashk ka

main panja-e-mizha se samundar bilo chuka

har subh hadse se ye kahta hai aasman

de jam-e-KHun 'mir' ko gar munh wo dho chuka

(458) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pal Mein Jahan Ko Dekhte Mere Dubo Chuka In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Pal Mein Jahan Ko Dekhte Mere Dubo Chuka is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Pal Mein Jahan Ko Dekhte Mere Dubo Chuka for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Pal Mein Jahan Ko Dekhte Mere Dubo Chuka in PDF.