Patta Patta BuTa BuTa Haal Hamara Jaane Hai

patta patta buTa buTa haal hamara jaane hai

jaane na jaane gul hi na jaane bagh to sara jaane hai

lagne na de bas ho to us ke gauhar-e-gosh ko baale tak

us ko falak chashm-mah-o-KHur ki putli ka tara jaane hai

aage us mutakabbir ke hum KHuda KHuda kiya karte hain

kab maujud KHuda ko wo maghrur-e-KHud-ara jaane hai

aashiq sa to sada koi aur na hoga duniya mein

ji ke ziyan ko ishq mein us ke apna wara jaane hai

chaaragari bimari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin

warna dilbar-e-nadan bhi is dard ka chaara jaane hai

kya hi shikar-farebi par maghrur hai wo sayyaad bacha

tair uDte hawa mein sare apne asara jaane hai

mehr o wafa o lutf-o-inayat ek se waqif in mein nahin

aur to sab kuchh tanz o kinaya ramz o ishaara jaane hai

kya kya fitne sar par us ke lata hai mashuq apna

jis be-dil be-tab-o-tawan ko ishq ka mara jaane hai

raKHnon se diwar-e-chaman ke munh ko le hai chhupa yani

in suraKHon ke Tuk rahne ko sau ka nazara jaane hai

tishna-e-KHun hai apna kitna 'mir' bhi nadan talKHi-kash

dum-dar aab-e-tegh ko us ke aab-e-gawara jaane hai

(1428) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Patta Patta BuTa BuTa Haal Hamara Jaane Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Patta Patta BuTa BuTa Haal Hamara Jaane Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Patta Patta BuTa BuTa Haal Hamara Jaane Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Patta Patta BuTa BuTa Haal Hamara Jaane Hai in PDF.