Phir Us Se Tarah Kuchh Jo Dawe Ki Si Dali Hai

phir us se tarah kuchh jo dawe ki si Dali hai

kya taza koi gul ne ab shaKH nikali hai

sach puchho to kab haiga us ka sa dahan ghuncha

taskin ke liye hum ne ek baat bana li hai

dehi ko na kuchh puchho ek bharat ka hai gaDwa

tarkib se kya kahiye sanche mein ki Dhaali hai

hum qadd-KHamida se aaghosh hue sare

par faeda tujh se to aaghosh wo KHali hai

izzat ki koi surat dikhlai nahin deti

chup rahiye to chashmak hai kuchh kahiye to gali hai

do-gam ke chalne mein pamal hua aalam

kuchh sari KHudai se wo chaal nirali hai

haigi to do sala par hai duKHtar-e-raz aafat

kya pir-e-mughan ne bhi ek chhokri pali hai

KHun-rezi mein hum son ki jo KHak barabar hain

kab sar to faro laya himmat teri aali hai

jab sar chaDhe hon aise tab ishq karen so bhi

jun tun ye bala sar se farhad ne Tali hai

in mughbachon mein zahid phir sar zada mat aana

mindil teri ab ke hum ne to bacha li hai

kya 'mir' tu rota hai pamali-e-dil hi ko

un lounDon ne to dilli sab sar pe uTha li hai

(402) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Us Se Tarah Kuchh Jo Dawe Ki Si Dali Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Phir Us Se Tarah Kuchh Jo Dawe Ki Si Dali Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Phir Us Se Tarah Kuchh Jo Dawe Ki Si Dali Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Phir Us Se Tarah Kuchh Jo Dawe Ki Si Dali Hai in PDF.