Piri Mein Kya Jawani Ke Mausam Ko Roiye

piri mein kya jawani ke mausam ko roiye

ab subh hone aai hai ek dam to soiye

ruKHsar us ke hae re jab dekhte hain hum

aata hai ji mein aankhon ko un mein gaDoiye

iKHlas dil se chahiye sajda namaz mein

be-faeda hai warna jo yun waqt khoiye

kis taur aansuon mein nahate hain gham-kashan

is aab-e-garm mein to na ungli Duboiye

matlab ko to pahunchte nahin andhe ke se taur

hum marte phire hain u nahin Tappe Toiye

ab jaan jism-e-KHaki se tang aa gai bahut

kab tak is ek Tokari miTTi ko Dhoiye

aaluda us gali ki jo hun KHak se to 'mir'

aab-e-hayat se bhi na we panw dhoiye

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Piri Mein Kya Jawani Ke Mausam Ko Roiye In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Piri Mein Kya Jawani Ke Mausam Ko Roiye is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Piri Mein Kya Jawani Ke Mausam Ko Roiye for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Piri Mein Kya Jawani Ke Mausam Ko Roiye in PDF.